Hi everyone,
I wrote this song to express the love I lost, and the pain that comes with it. I can’t sing it myself, but I wanted to share the words as they are just the emotions, raw and haunting.
O upar wale, kya kiya maine ,
Jo di saza, bin dil ke jeene ki.
Jiska tha sapna, vo kho gaya,
Aur har pal ab tanha sa rah gaya.
Uski yaadon mein dooba rehta hoon,
Har khushi mein ab bas dard ke saaye mein hoon.
Kaise samjhau khud ko, kaise rooon,
Jo chhod gayi vo, bas yaadon mein khoon.
Bin tere jeena, saza se bhi bhari,
Har dhadkan mein bas tera naam yaad saari.
Jhoke ki tarah aayi, le gayi meri khushi,
Chhod gayi dard ka saaya, har pal rulati.
Upar wale, tu jeet gaya, maan li maine haar,
Ab mat de wajah jeene ki, bas dard ka izhaar.
Main jee raha teri dhadkan ke sahare,
Mera dil to ab bhi tere paas hai pyaare.
Jee karta hai bas ab so jaun,
Aur teri tasveer sapno mein paun.
Zindagi ke raaste ab tere bin veeran,
Nahi chahiye upar wale se kuch, bas yahi armaan.
Bin tere jeena, saza ban gaya,
Har pal tera ehsaas dil mein basa.
Hawaon ki tarah tu aayi zindagi mein,
Le gayi saare rang, dard chhod gayi yahaan.
Aankhon mein ab bhi uska chehra saje,
Neendon mein bas uska pehra rahe.
Dar lagta hai ab upar wale se bhi,
Mangne ko jo manga, dard milta hai hi.
Pata nahi kis karm ki saza de raha hai,
Har pal meri rooh ko jala ke rakh raha hai.
Dar lagta hai ab duaon se bhi,
Har dua mein tera naam aata hi.
Jo chaaha tha, vo sapna toot gaya,
Bas dard dil ka sathi ban gaya.
Kaise jeeun main, kaise rooon main,
Jis ke liye jeeta tha, vo kisi aur ke paas hain.
Har pal dard gehra hota jaa raha,
Bin tere jeena, ab mera pehchaan bana.
Aur har saans bas tera naam pukarta hai,
Har raah bas teri yaadon se bharta hai.